Tumhi farsh se arsh par jaane waale

Tumhi ne'mate Rab se dilwaane wale

Tere aage sab haath pehlaane wale

Chamak Tujh se paate hain sab paane wale

Mera dil bhi chamkaade Chamkaane Wale

Hain bemisal tera karam jaan e izzat

Ghulaamo pe har dam hain teri inaayat

Wo gulshan ho sehra ho darya ke parvat

Barasta nahi dekh kar abr e rehmat

Buddo par bhi barsaade Barsaane Wale

Savaari se apni tu jis dum utarna

Madine ke zair zara tu sambalna

Waha tha mere Mustafa ka guzarna

Haram ki zameen aur aqdam rakh ke chalna

Are sar ka moka hain aujaane wale

Ae Mushkilkusha kijiye mushkilkushai

Tarap kar jo mene sada ye lagayi

To Aqa ki rehmat paighaam ye layi

Ab aayi shafa'at ki sa'at ab aayi

Zarra chain le mere Gabraane Wale

Ye munkir munafiq ye ganda hain WAllah

Walaazat ka bal ke bulanda hain WAllah

Jahannam me naam us ka unda hain WAllah

Jo murda kahe Tum ko wo murda hain WAllah

Tu zinda hain WAllah, Tu zinda hain WAllah

Mere chashm e aalam se chup jaane Wale

Ghulaam e Nabi Khuld me jaa basse ga

Jahannam me Aqa ka munkir jalle ga

Jo aashiq hain wo to hamesha kahe ga

Rahe ga yuhi Un ka charcha rahe ga

Pare khaak ho jaaye jal jaane wale

Kabhi Ghous o Khwaaja ke naamo se ulje

Kabhi Ghous o Khwaaja ke naaro se ulje

Kabhi Auliya ke mazaaro se ulje

Ye khaa kar niaaze niaazo se ulje

Duroodo se ulje, Salaamo se ulje

Sahih ul aqeeda Imaamo se ulje

Tera khaaye Tere ghulaamo se ulje

Hain munkir ajab khaane ghurraane wale

Sada geet Un ki muhabbat ke gaana

Jighar munkiro ke yuhi tum jalaana

Ubaid e Raza unse doka na khaana

Raza ka ye paighaam na bhool jaana

Raza nafs dushman hain dum me na aana

Kaha tum ne dekhe hain chandraane wale

Naat Khawaan: Alhaj Muhammad Owais Raza Qadri

Writer: Imam Ahmad Raza Khan Barelwi- Actual Naat (White) 

           Ubaid e Raza- Tazmeem (Grey)

Make a Free Website with Yola.