Qurbaan me unki bakhshish ke

Maqsad bhi zabaan pe aaya nahi

Bin maange diya aur itna diya

Daaman me humaare samaaya nahi

Imaan mila Un ke sadqe

Quraan mila Un ke sadqe

Rahmaan mila Un ke sadqe

Wo kya hain jo hum ne paaya nahi

Dil bar gaye mangto ke lekin

Dene se Teri neeyat na bari

Jo aaya usse bar bar ke diya

Mahroom koi lotaaya nahi

Un ka tho shiaar kareemi hain

Mail ba karam hi rehte hain

Mangto ki hamesha laaj rakhi

Mahroom kabhi lotaaya nahi

Khursheed e qayaamat ki taabish

Maana ke qayaamat hi hogi

Hum Unke hain ghabraaye kyun

Kya hum pe Nabi ka saaya nahi

Us Mohsin e Azam ke to

Khalid pe hazaaro ehsaan hain

Qurbaan maghar is ehsaan ke

Ehsaan bhi kiya to jataya nahin

Naat Khawaan: Alhaj Muhammad Owais Raza Qadri

Writer: Khalid Mahmood Khalid

 
Make a Free Website with Yola.