Hirz e jaan zikr e shafaat kijiye

Naar se bachne ki surat kijiye

Un ke dar pe jaise hain mit jayiye

Naatuaano kuch to himmat kijiye

Un ke dar par baitiye ban kar faqeer

Benawaao fikr e sarwat kijiye

Jin ka husn Allah ko bhi bha gaya

Aise Pyaare se muhabbat kijiye

Naara kijiye Ya RasoolAllah ka

Mufliso saamaan e dolat kijiye

Hum tumhare ho ke kis ke paas jaaye

Sadqa Shehzaado ka rahmat kijiye

Aap Sultaan e jahaan hum benawaa

Yaad hum ko waqt e nemat kijiye

Tujh se kya kya ae mere Taiba ke Chand

Zulmat e ghum ki shikaayat kijiye

Dar badar kab tak phire khasta kharaab

Taiba me madfan inaayat kijiye

Phir palat kar mun na is jaanib kiya

Such hain aur dawa e ulfat kijiye

Uqrabaa hub e watan behimmati

Aah kis kis ki shikaayat kijiye

Ab to Aqa mun dikhane ka nahi

Kis tarha raf e nidaamat kijiye

Kis se kehyiye kya kya kya ho gaya

Khud hi apne par malaamat kijiye

Arz ka bhi ab to mun partaa nahi

Kya ilaaj e dard e furqat kijie

Apni ik meethi nazar ke shehad se

Chaarah e zehr e museebat kijiye

De Khuda himmat ke ye jaan e hazeen

Aap par waari wo surat kijiye

Aap hum se bar kar hum par mehrbaan

Hum kare jurm Aap rahmat kijiye

Jo na bhoola hum ghareebo ko Raza

Yaad us ki apni aadat kijiye 

Naat Khawaan: Qari Muhammad Khalil Attari

Writer: Imam Ahmad Raza Khan

 
Make a Free Website with Yola.