Bekhud ki ye dete hain andaaz-e-hijabana
Aa dil me tujhe rakhloo ae jalwa-e-jaanaana
Itna to karam karna ae chashm-e-kareemaana
Jab jaan laboon par ho tum samne aa jaana
Ji jaata hain tofe me beju main unne ankhe
Darshan ka to darshan ho nazranay ka nazrana
Main hosh-o-hawaas apne is baat pe kho baita
Has kar jo kaha tumne aaya mera deewana
Duniya me jab tu nay mujhe apna banaaaya hain
Mehshar me bhi kehdena ye hain mera deewana
Kyun aankh milaayi thi kyun aag lagaai thi
Ab rukh ko chupa baitay karke mujhe deewana
Peene ko to peeloo ga par shart zara si hain
Ajmer ka saki ho baghdad ka mekhana
Bedum meri kismat me sajde hain issi dar ke
Choota hain na choote ga sang-e-dar-e-jaanaana
Kya lutf ho mehshar me shikwe main kie jaoon
Haskar wo ye farmae ke deewaana hain deewana
Wo kehte na kehte kuch wo karte na karte kuch
Ae kash wo sun lete mujh se mera afsaana
Naat Khawaan: Alhaj Muhammad Owais Raza Qadri
Writer: Bedum Warsi
Image courtesy of: http://www.islamiclyrics.net/owais-raza-qadri/